jaan-e-bahaar-e-zindagi aankhen zara milae ja

jaan-e-bahaar-e-zindagi aankhen zara milae ja
gulshan-e-qalb par mere barq-e-nazar girae ja

apna mujhe banae ja dil mein mere samae ja
band-e-hijab tod de naqsh-e-dui mitae ja

mutrib-e-khush-nawa na ja zakhm-e-jigar kured kar
chheda hai jis pe saz-e-dil naghma wahi sunae ja

mausam-e-gul ka wasta abr-e-bahaar ki qasam
jab tak girun na jhum kar saqi mujhe pilae ja

mana ki thak gae hain panw hausla-e-shabab ke
phir bhi thahar ke dam na le aage qadam badhae ja

thes lage laga kare dard uthe utha kare
aankhon se khun baha kare phir bhi tu muskurae ja

naz-o-niyaz-e-ishq ka khatm na ho ye silsila
'nazish'-e-khasta-haal ko hans hans ke tu rulae ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close