jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi

jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi
hifz-e-namus-e-alam bhi nish-e-gham ka pas bhi

khak dar-bar hi sahi main khak bhi wo khak hai
jis mein mere zakhm-e-dil ki bu bhi hai aur bas bhi

kitne daur-e-charkh un aankhon ne dekhe kuchh na puchh
mit chuka hai waqt ki raftar ka ehsas bhi

hae wo ek nashtar-agin neshtar-afroz yaad
jis ke aage hech apni burrish-e-infas bhi

hum na the kuchh khud hi us saude pe raazi warna yun
ras aane ko ye duniya aa hi jati ras bhi

khud ko ai dil yas-e-kaamil ke hawale yun na kar
jhankti hai zehn ke ghurfe se koi aas bhi

kaun us wadi se uchhla ta-sar-e-arsh-e-barin
gum hain jis wadi mein 'akhtar' khizr bhi ilyas bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close