jaane kya wajh-e-beganagi hai

jaane kya wajh-e-beganagi hai
shahr mein jo bhi hai ajnabi hai

aag si mere dil mein lagi hai
phir bhi kitni khunuk chandni hai

raat-bhar shama tanha jali hai
tab kahin raat ja kar kati hai

un ko kho kar bhi main ji raha hun
ye kisi aur ki zindagi hai

zahr-e-gham kaam kar bhi chuka hai
muskurahat labon par wahi hai

tab ke jam raushan rakhoge
raat bhi ab to dhalne lagi hai

aaj to tum bhi so jao 'ishqi'
aaj to dard mein bhi kami hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close