jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya

jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya
ghar mein diwaren uthana ab to fashion ho gaya

ek muflis ko sadak par galiyan dene ke baad
wo samajhta hai hamara nam raushan ho gaya

aaj to aae hamein kis ki qayaadat par yaqin
kal jo apna rahnuma tha aaj rahzan ho gaya

dekh kar bachchon ko bhi ab yaad aata hi nahin
mahw kuchh aisa hamare dil se bachpan ho gaya

chhate chhate chha gai fasl-e-bahaaran par khizan
dekhte hi dekhte pamal gulshan ho gaya

main ne to haq baat hi munh se nikali thi 'wasim'
jaane kyun sara zamana mera dushman ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close