jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai

jab bhi bhule se kabhi lab pe hansi aai hai
gham ki taswir mere zehn pe lahrai hai

is qadar charcha hai kuchh aamad-e-fasl-e-gul ka
khar ko khar na kahne hi mein danai hai

ban gai khar sar-e-shakh kali wo ek din
phul banne ki tamanna mein jo murjhai hai

aankh ne dekha nahin ek bhi gul khanda-ba-lab
sirf kanon ne suna hai ki bahaar aai hai

din to sayon ke taaqub mein guzara lekin
phir wahi raat wahi main wahi tanhai hai

jab tha main garm-e-safar sayon se katraata tha
thak gaya hun to mujhe shoalon pe nind aai hai

go main begana hun khud zat se apni 'simab'
meri fitrat mein magar anjuman-arai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close