jab bhi jalegi shama to parwana aaega

jab bhi jalegi shama to parwana aaega
diwana le ke jaan ka nazrana aaega

tujh ko bhula ke lunga main khud se bhi intiqam
jab mere hath mein koi paimana aaega

aasan kis qadar hai samajh lo mera pata
basti ke baad pahla jo virana aaega

us ki gali mein sar ki bhi lazim hai ehtiyat
patthar utha ke hath mein diwana aaega

'nasir' jo pattharon se nawaza gaya hun main
marne ke baad phulon ka nazrana aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close