jab bhi kisi ne khud ko sada di sannaton mein aag laga di mitti us ki pani us ka jaisi chahi shakl bana di chhota lagta tha afsana main ne teri baat badha di jab bhi socha us ka chehra apni hi taswir bana di tujh ko tujh mein dhundh ke hum ne duniya teri shan badha di