jab hai mitna hi to andaz hakimana sahi khalwat-e-gham ke ewaz gosha-e-mai-khana sahi raunaq-e-baada-kashi jurat-e-rindana sahi khar hona hai to mai-khana-ba-mai-khana sahi ishq ek qatre mein dariya ko samo deta hai aql ko diwana samajhti hai to diwana sahi mere dil mein bhi tajalli ke khazine hain nihan mah-o-khurshid mein aks-e-rukh-e-jaanana sahi fursat-e-shauq ghanimat hai utha bhi saghar zindagi ek chhalakta hua paimana sahi kya khabar thi ki mai-e-nab mein itna hai surur ab jo pi li hai to ek aur bhi paimana sahi meri warafta-nigahi ki bhi kuchh qimat hai bazm ki bazm rukh-e-yar ka parwana sahi fikr-o-ehsas mein poshida hain asrar-e-hayat baal-o-par quwwat-e-parwaz se begana sahi yahi kya kam hai ki barbaad-e-mohabbat hai 'rais' tere altaf-o-inayat se begana sahi