jab jazba ek bar jigar mein aata hai

jab jazba ek bar jigar mein aata hai
phir sab apne aap hunar mein aata hai

sab ki zad mein ek mera hi ghar hai kya
roz naya ek patthar ghar mein aata hai

kal mere sae mein us ki shakl dikhi
manzar aise pas-manzar mein aata hai

main tanha aata hun mahfil mein yaron
baqi har insan lashkar mein aata hai

lahja us ka har jaanib hai musallat yun
wo banda har bar khabar mein aata hai

dahshat us lamhe ki dil mein itni hai
aksar hi wo lamha dar mein aata hai

'mit' sabhi ka sath yahan par deta hai
jo koi bhi beach safar mein aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close