jab kabhi dair-o-haram Takrae mai-KHanon ke sath

jab kabhi dair-o-haram takrae mai-khanon ke sath
sarf-e-gardish kar diya saqi ne paimanon ke sath

husn bhi kambakht kab khali hai soz-e-ishq se
shama bhi to raat-bhar jalti hai parwanon ke sath

roz mai-khwaron ki qismat ke sitare sham se
jagmaga uthte hain jag uthte hain mai-khanon ke sath

gardish-e-gardun khalal-andaz mai-khana ho kya
waqt rahta hai yahan gardish mein paimanon ke sath

aql apnon se bhi aksar bach ke chalti hai zara
ishq hi kambakht ho jata hai beganon ke sath

kis qadar khush-fahm the jo log agle waqt mein
masjiden banwa diya karte the but-khanon ke sath

ta-na-bashad chiz ke mardum na-goyad chiz-ha
kuchh haqiqat bhi hua karti hai afsanon ke sath

munfail karta hai bismil wo junun ko aql se
koi farzana jo ho jata hai diwanon ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close