jab safar se laut kar aane ki tayyari hui be-talluq thi jo shai wo bhi bahut pyari hui chaar sansen thin magar sine ko bojhal kar gain do qadam ki ye masafat kis qadar bhaari hui ek manzar hai ki aankhon se sarakta hi nahin ek saat hai ki sari umr par tari hui is tarah chaalen badalta hun bisat-e-dahr par jit lunga jis tarah ye zindagi haari hui kin tilismi raston mein umr kati 'aftab' jis qadar aasan laga utni hi dushwari hui