jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka aankhon mein phir raha hai muraqqa najat ka malik hi ke sukhan mein talawwun jo paiye kahiye yaqin laiye phir kis ki baat ka daftar hamari umr ka dekhoge jab kabhi fauran use karoge muraqqa najat ka ulfat mein mar mite hain to puchhe hi jaenge ek roz lutf uthaenge is wardat ka surkhi ki khatt-e-shauq mein hajat jahan hui khun-e-jigar mein nok duboya dawat ka mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai parwana hun main anjuman-e-kaenat ka ai sham-e-bazm-e-yar wo parwana kaun tha lau mein teri ye dagh hai jis ki wafat ka mujh se to lan-taraniyan us ne kabhi na kin musi jawab de na sake jis ki baat ka is be-khudi ka denge khuda ko wo kya jawab dam bharte hain jo chand nafas ke hubab ka qudsi hue mutia wo taat bashar ne ki kul ikhtiyar haq ne diya kaenat ka aisa itab-nama to dekha suna nahin aaya hai kis ke waste sura baraat ka zi-ruh mujh ko tu ne kiya musht-e-khak se banda rahunga main tere is iltifat ka nachiz hun magar main hun un ka fasana-go quran hamd-nama hai jin ki sifat ka roya hai mera dida-e-tar kis shahid ko mashhur ho gaya hai jo chashma furaat ka aae to aae aalam-e-arwah se wahan dam bhar jahan nahin hai bharosa sabaat ka dhum us ke husn ki hai do-alam mein ai 'shraf' khurshid roz ka hai wo mahtab raat ka