jab se is shahr-e-be-makan mein hun

jab se is shahr-e-be-makan mein hun
main tere ism ki aman mein hun
gumbad-e-sher mein jo gunjti hai
main usi dard ki azan mein hun
main ne tanhaiyon ko pa liya hai
is liye khwab hi ke dhyan mein hun
titliyan rang chunti rahti hain
aur main khushbuon ki kan mein hun
wahshaten ishq aur majburi
kya kisi khas imtihan mein hun
khwahishen saya saya bikhri hain
aur main dhup ke makan mein hun
main hun paikan-e-dard ai 'khurshid'
aur ek yaad ki kaman mein hun
This is a great aman related shayari. Please share if you liked this!!!