jab tak gham-e-jahan ke hawale hue nahin

jab tak gham-e-jahan ke hawale hue nahin
hum zindagi ke jaanne wale hue nahin

kahta hai aaftab zara dekhna ki hum
dube the gahri raat mein kale hue nahin

chalte ho sina tan ke dharti pe kis liye
tum aasman to sar pe sambhaale hue nahin

anmol wo guhar hain jahan ki nigah mein
dariya ki jo tahon se nikale hue nahin

tai ki hai hum ne surat-e-mahtab rah-e-shab
tul-e-safar se panw mein chhaale hue nahin

das len to un ke zahr ka aasan hai utar
ye sanp aastin ke pale hue nahin

teshe ka kaam resha-e-gul se liya 'shakeb'
hum se pahad katne wale hue nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close