jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai

jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai
raat hoti hai magar din ka yaqin hota hai

uf wo bedad inayat bhi tasadduq jis par
hae wo gham jo masarrat se hasin hota hai

hijr ki raat fusun-kari-e-zulmat mat puchh
shama jalti hai magar nur nahin hota hai

dur tak hum ne jo dekha to ye malum hua
ki wo insan ki rag-e-jaan se qarin hota hai

ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye
chot lagti hai kahin dard kahin hota hai

hum ne dekhe hain wo aalam bhi mohabbat mein 'hafiz'
aastan khud jahan mushtaq-e-jabin hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close