jab usne nahin dekha jab usko nahin bhai

jab us ne nahin dekha jab us ko nahin bhai
kis kaam ki aaraish kis kaam ki zebai

ye kar-e-mohabbat bhi kya kar-e-mohabbat hai
ek harf-e-tamanna hai aur us ki pazirai

ek pal ki masafat thi is dil se tere dil tak
is rah mein bhi lekin ek umr bita aai

jab koi use dekhe bas dekhta rah jae
ye husn ki khubi hai ye husn ki yaktai

ye mauj-e-hawa yunhi itraati nahin phirti
us phul se mil aai khushbu bhi chura lai

ek zard sa patta tha jab shakh se bichhda tha
main rah mein bikhra tha jab mauj-e-hawa aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close