jabin ki dhul jigar ki jalan chhupaega

jabin ki dhul jigar ki jalan chhupaega
shuru-e-ishq hai wo fitratan chhupaega

damak raha hai jo nas nas ki tishnagi se badan
is aag ko na tera pairahan chhupaega

tera ilaj shifa-gah-e-asr-e-nau mein nahin
khirad ke ghaw tu diwana-pan chhupaega

hisar-e-zabt hai abr-e-rawan ki parchhain
malal-e-ruh ko kab tak badan chhupaega

nazar ka fard-e-amal se hai silsila darkar
yaqin na kar ye siyahi kafan chhupaega

kise khabar thi ki ye daur-e-khud-gharaz ek din
junun se qimat-e-dar-o-rasan chhupaega

tera ghubar zamin par utarne wala hai
kahan tak ab ye bagula thakan chhupaega

khulega baad-e-nafas se jo rukh pe nil-kanwal
use kahan tera ujla badan chhupaega

tere kamal ke dhabbe tere uruj ke dagh
chhupaega to koi ahl-e-fan chhupaega

jise hai faiz meri khanqah se 'danish'
wo kis tarah mera rang-e-sukhan chhupaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close