jada-e-zist mein tanwir-e-sahar aane tak khwab bunte raho tabir nazar aane tak laut bhi aaya to sadiyon ki thakan laega subh ka bhula hua sham ko ghar aane tak zindagi pyas se manus na ho jae kahin waqt ke dasht mein ek lamha-e-tar aane tak zulmaten chhin na len hum se muqaddas chehre sham-e-maslub tere shola-ba-sar aane tak hum gunahon ke pujari bhi to ban sakte hain hasil-e-jazba-e-taqdis nazar aane tak subh ki dhup dhundhalkon mein badal jati hai shakh-e-iflas pe zartab samar aane tak chashm-e-be-khwab ki surat hai samundar mein sadaf abr-e-nisan se koi shola-e-tar aane tak