jahan gham hai na ab koi KHushi hai

jahan gham hai na ab koi khushi hai
mohabbat us jagah par aa gai hai

jise dekho use apni padi hai
zamane ki bahut haalat giri hai

musalsal fikr-e-duniya fikr-e-uqba
ab aisi zindagi kya zindagi hai

main apne dil ki baaten kah raha hun
zamane ke liye ye shairi hai

sakun milta hai un ki yaad kar ke
ilaj-e-tishnagi khud tishnagi hai

dilon mein hai andhera ahd-e-nau ka
ba-zahir raushni hi raushni hai

badi mushkil hai mir-e-karwan ki
bahut phaili hui be-rah-rawi hai

nai tahzib mein sab kuchh hai lekin
faqat insaniyat hi ki kami hai

ye lagta hai taraqqi kar rahe hain
girawat roz badhti ja rahi hai

kahin patthar na phike ye zamana
teri fikr-o-amal shishagari hai

utha hai ek kone mein dhuan sa
kahin shayad koi bijli giri hai

karun ai 'mauj' kya ummid-e-sahil
ki ab tufan mein kashti ghiri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close