jaise jaise dard ka pindar badhta jae hai e'timad-e-lazzat-e-azar badhta jae hai dil umadta aae hai mitti hui jati hai nam zindagi par zindagi ka bar badhta jae hai ye na puchho dekhta jata hai mud mud kar kise ek diwana ki su-e-dar badhta jae hai kuchh na kuchh hona hai aakhir tap ke kundan jal ke rakh dil ki jaanib shoala-e-afkar badhta jae hai aagahi ka sadqa wajib hai uthao jam-e-zahr lamha lamha waqt ka israr badhta jae hai sakhti-e-rah-e-talab se dil larazta hai magar mujh se aage jazba-e-bedar badhta jae hai rafta rafta soz-e-hirman hota jata hai fuzun rafta rafta zindagi se pyar badhta jae hai ye jahan-e-ab-o-gil hai imtihan-gah-e-shuur gham ba-qadr-e-azmat-e-kirdar badhta jae hai kya khabar 'hurmat' ki takmil-e-safar ho kis tarah iltifat-e-wadi-e-pur-khar badhta jae hai