jala ke daman-e-hasti ka tar tar uTha

jala ke daman-e-hasti ka tar tar utha
kabhi jo nala-e-gham dil se shoala-bar utha

khyal-o-fikr-o-tamanna ka khun chhup na saka
zaban khamosh thi lekin lahu pukar utha

falak pe jab bhi haqaeq ki surkhiyan ubhrin
zamin se kohna riwayat ka ghubar utha

rawan-dawan hai rag-e-sang mein lahu ki tarah
wo zindagi ka talatum jo bar bar utha

rah-e-hayat mein jab dagmagae mere qadam
mera hi naqsh-e-kaf-e-pa mujhe pukar utha

fareb-e-wada-e-farda ka zikr kya kije
wo mo'atabar hi the kab jin ka e'tibar utha

'farid' ahl-e-gulistan bhi hosh kho baithe
kuchh is ada se hijab-e-rukh-e-bahaar utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close