jalna ho to mujh se jal aa mere paikar mein dhal shayad tuta patta hun mujh se rutha hai jangal main patthar dhalwanon ka ludhkun to niche daldal kis ki pyas bujhaega sukhe dariya ka ye nal dhup kisi bhi ghar jae mere aangan mein pipal mere khwabon ka suraj meri nazron se ojhal aag lagi hai tan-man mein ab to aise ghar se nikal