jate hue nahin raha phir bhi hamare dhyan mein

jate hue nahin raha phir bhi hamare dhyan mein
dekhi bhi hum ne machhliyan shishe ke martaban mein

pahle bhi apni jholiyan jhad kar uth gae the hum
aisi hi ek raat thi aisi hi dastan mein

sath zaif bap ke lag gain kaam-kaj par
gahne chhupa ke ladkiyan dadi ke pan-dan mein

ghanti baja ke bhagte bachchon ko thodi ilm hai
rahta nahin hai koi bhi aadmi is makan mein

yani majal kuchh nahin zarron ke ijtima ki
yani sabhi mah-o-nujum ek hi khandan mein

itna bhi mukhtalif nahin mera tumhaara tajraba
jaise ki tum muqim ho aur kisi jahan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close