jawaz-e-ab-o-tab ab gulab ke liye nahin hamari yaad zinat-e-kitab ke liye nahin nikal ke aasman pe aa samundaron pe nam likh tu chand hai to chadar-e-hijab ke liye nahin meri amanaten sambhaal ujal de mere nuqush ye dard ab kisi se intisab ke liye nahin murawwaton ke zakhm bhi aziz rakhna jaan se suluk-e-dostan hai ye hisab ke liye nahin lahu ka zaiqa na chakh lahu ka tajraba na kar lahu hai iztirab iztirab ke liye nahin mere junun ko khair-o-shar ke daere se dur rakh ye zindagi ka husn intikhab ke liye nahin har ek ajnabi se apna muddaa bayan na kar nazar-shanas hai to ijtinab ke liye nahin