jigar ke khun se raushan go ye charagh raha misal-e-mah chamakta to dil ka dagh raha badal gaya hai zamana chali wo baad-e-sumum na gul rahe na wo bulbul rahi na bagh raha huzur-e-husn se khushiyan na mil sakin na sahi mata-e-gham se to sad shukr ba-faragh raha wo dal di ghalat andaz ek nazar tu ne ki main zamin pe raha arsh par dimagh raha na hogi bazm-e-jahan mein rasai-e-zulmat yahan charagh se jalta agar charagh raha kise tha hosh kisi ki talash ka 'rizwi' tamam umr hi main darpai-e-suragh raha