jin ki zindagi daman tak hai bechaare farzane hain

jin ki zindagi daman tak hai bechaare farzane hain
khak udate phirte hain jo diwane diwane hain

wahdat-e-insan apne ko shair se manwa leti hai
kya anjaane kya begane sab jaane-pahchane hain

mujh ko shair kahne walo main kya meri ghazlen kya
main ne to bas sarkar-e-ishq mein kuchh parche guzrane hain

bhole-bhaale mahbubon se danw-pech kuchh chal na saka
hum ye samajhte rahe abhi tak hum bhi kitne siyane hain

hosh-o-khirad kya josh-e-junun kya ulti ganga bahti hai
kya farzane kaise siyane yaro sab diwane hain

jal-bujhne ki bhi taufiq kahan ushshaq ki qismat mein
ek an-dekhi sham-e-bazm ke dil wale parwane hain

shair se hamdardi sikho duniya ke gham-khane mein
jitne gham hain duniya bhar mein is ke mane-jaane hain

shahr-e-nigaran shahr-e-nigaran kaun batae kaisa hai
puchhte ho kya hum se yaro hum bhi to begane hain

bas wo unhi se fitrat ko khalon ke libas pahnata hai
shair ke palle kya hai giton ke tane-bane hain

kitne begane hote hain ye jaane-pahchane log
jaane hue bhi ba-qaul hamare anjaane begane hain

aaj se pahle kab the watan mein be-watani ke ye lachchhan
logon ko ye kahte suna hai ghar bhi ghurbat-khane hain

kuchh nahin khulta kis ki zad mein ye hasti-e-gurezan hai
hum jo itne bache phirte hain kin tiron ke nishane hain

is gum-karda-e-dida-o-dil ko kal tak kitne jaante the
ab to 'firaq'-e-be-khud ke aalam aalam afsane hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close