jina hai khub auron ki khatir jiya karo ik-adh sans khud bhi to lete raha karo kya harj hai jo dil ki bhi sun lo kabhi kabhi yun apne aap se na hamesha lada karo ye bar-e-zist jhelte rahna hai umr-bhar apni thakan pe tik ke kabhi so liya karo hai bas-ki khak udane ki aawargi ko kho rakht-e-safar mein ghar ko bhi bandhe phira karo afi bhi so rahe hain chameli ki chhanw mein nau-warid-e-chaman ho sambhal kar chala karo kitna kaha tha tum se ki mat khelo aag se ab jo sulag padi hai to chupke jala karo