jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae

jis ko jaisa bhi hai darkar use waisa mil jae
tu mayassar ho mujhe aur tujhe duniya mil jae

sang se sang ke takrane ka manzar dekhun
kabhi aisa ho ki tujh ko koi tujh sa mil jae

ye dhadakta hua dil us ke hawale kar dun
ek bhi shakhs agar shahr mein zinda mil jae

sakht sardi mein thithurti hai bahut ruh meri
jism-e-yar aa ki bechaari ko sahaara mil jae

shahr ki bhid mujhe tera bulawa manzur
shart ye hai mera khoya hua sahra mil jae

tu khuda hai to mujhe kufr mein mustahkam kar
ki mujhe raaz-e-sanam-khana-e-duniya mil jae

hum to bas dhup ki shiddat mein kami chahte hain
kab kaha hai ki kahin rah mein saya mil jae

apne aaina-e-tauhid mein allah-miyan
dekhte rahiye koi aap hi jaisa mil jae

fasl-e-sher aai hai bazar-e-sukhan mein dekh aao
farhat-ehsas bhi shayad koi taza mil jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close