jis tarah paida hue us se juda paida karo

jis tarah paida hue us se juda paida karo
khud ko apni khak se bilkul naya paida karo

shahr ke in aaina-khanon mein phirna hai fuzul
chahiye chehra to apna aaina paida karo

yar sajdon ka bhi kuchh mear hona chahiye
pahle ja kar dhang ka koi khuda paida karo

is hujum-e-shahr mein us tak pahunchna hai muhaal
ab to andar hi se koi rasta paida karo

taki ek ghar mein rahe to dusra mahfil mein ho
'farhat-ehsas' apne jaisa dusra paida karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close