jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte

jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte
ab kisi bhi markaz se daere nahin milte

do-qadam bichhadne se qafile nahin milte
manzilen to milti hain raste nahin milte

barha tarasha hai hum ne aap ka chehra
aap ko na jaane kyun aaine nahin milte

waqt ki kami kah kar jehl ko chhupate hain
aaj-kal kitabon mein hashiye nahin milte

aaj bhi zamane mein aadmi karishma hain
shoabde to milte hain moajize nahin milte

zindagi ka har lamha aarzu ka dushman hai
hadson ki khwahish mein hadse nahin milte

aaj qatl karna bhi ban gaya hai fan 'zarrin'
qatl karne walon ke kuchh pate nahin milte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close