jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye

jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye
parda utha ke chahne walon ko dekhiye

kya dil jigar hai chahne walon ko dekhiye
mere sukut apne sawalon ko dekhiye

ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile
dil murda hai to zinda misalon ko dekhiye

kya dekhte hain aap bahaar-e-numu abhi
jab ediyan tak aaen to baalon ko dekhiye

tabqe zamin ke hon ki auraq-e-asman
qudrat ke dil-fareb risalon ko dekhiye

himmat ko dekhiye ki wahi mard-e-kar hai
faujon ko dekhiye na risalon ko dekhiye

taqlid kyun khayal-o-zaban mein kisi ki ho
apne khayal apne maqalon ko dekhiye

dushman pe bhi nigah rahe aib mein hai wo
ye kya ki sirf chahne walon ko dekhiye

ho sarsari na gor-e-ghariban pe ek nazar
un ke dimagh un ke khayalon ko dekhiye

saqi ki chashm-e-mast ka nazzara kijiye
sahba ko dekhiye na piyalon ko dekhiye

dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'aziz'
masjid ko dekhiye na shiwalon ko dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close