jo aankhon ke taqaze hain wo nazzare banata hun

jo aankhon ke taqaze hain wo nazzare banata hun
andheri raat hai kaghaz pe main tare banata hun

mohalle wale mere kar-e-be-masraf pe hanste hain
main bachchon ke liye galiyon mein ghubbare banata hun

wo lori gaengi aur un mein bachchon ko sulaengi
main maon ke liye phulon ke gahware banata hun

faza-e-nil-gun mein hasrat-e-parwaz to dekho
main udne ke liye kaghaz ke tayyare banata hun

mujhe rangon se apne hairaten takhliq karni hain
kabhi titli kabhi jugnu kabhi tare banata hun

zamin yakh-basta ho jati hai jab jadon ki raaton mein
main apne dil ko sulgata hun angare banata hun

tera dast-e-hinai dekh kar mujh ko khayal aaya
main apne khun se lafzon ke gul-pare banata hun

mujhe ek kaam aata hai ye lafzon ke banane ka
kabhi mithe banata hun kabhi khaare banata hun

bulandi ki talab hai aur andar intishaar itna
so apne shahr ki sadkon pe fawware banata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close