jo apne ghar ko kaba mante hain

jo apne ghar ko kaba mante hain
pas-e-diwar phir kyun jhankte hain

nahin tere junun par shak nahin hai
teri aadat magar pahchante hain

ye aazurda-jabin mazi ke basi
nae zakhmon pe yaaden bandhte hain

tere ahl-e-yaqin sajdon mein jhuk kar
mere kafir tera gham mangte hain

rida-e-shab to abr-e-tar se bhigi
chalo ek dhyan sar par tante hain

sitare zabt ke moti hazar ke
qaba-e-arzu par tankte hain

teri khoti hansi par rone wale
teri aankhon ke mausam jaante hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close