jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain

jo ba-zahir sahar-asar nazar aate hain
wo bhi andar se shab-e-tar nazar aate hain

kijiye kis se yahan qadr-e-hunar ki ummid
ab wo darbar na dur-bar nazar aate hain

kam se kam apne gareban hi ke purze karte
hath par hath dhare yar nazar aate hain

shahr-dar-shahr makanon mein andhera hai magar
jagmagate hue bazar nazar aate hain

kaun aawaz uthaega hamare haq mein
sab tere hashiya-bardar nazar aate hain

ye bhi mumkin hai ki ud jaen to lauten na kabhi
jitne bachche hain wo par-dar nazar aate hain

kitni dilkash hai ye ummid ki rang-amezi
sang-dil log bhi dildar nazar aate hain

wo rahe honge nazakat mein kabhi shakh-e-gulab
ab to jab dekhiye talwar nazar aate hain

kis ki aamad hai gharibon ke gali-kuche mein
ujle ujle dar-o-diwar nazar aate hain

jin ke didar ko firdaus-e-tamasha kahiye
zindagi mein kahin ek bar nazar aate hain

shokhi-e-naqsh-e-qadam hai ki gulabon ki qatar
raste sab gul-o-gulzar nazar aate hain

jo har ek band se aazad hain wo bhi 'mahir'
apni khaslat ke giraftar nazar aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close