jo be-ghar hain unhen ghar ki dua deti hain diwaren

jo be-ghar hain unhen ghar ki dua deti hain diwaren
phir apne sae mein un ko sula deti hain diwaren

asiri hi muqaddar hai to koi kya kare aakhir
muqayyad kar ke apne mein saza deti hain diwaren

hamari zist mein aise bhi lamhe aate hain aksar
dararon ke tawassut se hawa deti hain diwaren

meri chikhen fasilon se kabhi bahar nahin jatin
shikasta ho ke girne par sada deti hain diwaren

mayassar ghar nahin jin ko jo rahon mein bhatakte hain
'zafar' un ko makanon ka pata deti hain diwaren


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close