jo dam mein dam hai to saqi ki justuju hi sahi nahin sharab to sauda-e-arzu hi sahi jo bandhna hai tasawwur hi apni aankhon mein to phir piyala-o-saghar hi kyun subu hi sahi salat-e-shara nahin jis ka ehtimam karen namaz-e-ishq hai ai dil to be-wuzu hi sahi junun mein chaak hai daman to fikr-e-sozan kya jo ban gaya hai gareban to be-rafu hi sahi jo hai sharab harifan-e-baada-paima ko hamare waste mauzu-e-guftugu hi sahi agar khayal mein khwabon ki gunj baqi hai to aankh khulte hi ghogha-e-ha-o-hu hi sahi fasana apne junun ka zaban zaban pe hai aaj nahin jo sahra-ba-sahra to ku-ba-ku hi sahi jafa-e-naz agar hai babang-e-tabl-o-duhal to dil-dukhon ka gila surma-dar-gulu hi sahi