jo hain hawas ke pujari wo mal-o-zar ke liye

jo hain hawas ke pujari wo mal-o-zar ke liye
nahin hai khauf unhen khun ka khun bahane mein

tamam ahd-e-jawani guzar gaya yun hi
unhen hamein aur hamein un ko aazmane mein

kisi se kuchh na kahenge hon lakh gham ab to
bahut hai zillat-o-ruswai gham sunane mein

tamam umr mera gham se bas raha rishta
maza sa aane laga mujh ko zakhm khane mein

suna hai rab use uqba mein bakhsh deta hai
sazaen deta hai jis ko 'sahar' zamane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close