jo huruf likh gaya tha meri aarzu ka bachpan unhen dho sake na dil se meri zindagi ke sawan wo jo din bikhar chuke hain wo jo khwab mar chuke hain main unhi ka hun mujawir mera dil unhi ka madfan yahi ek aarzu thi ki mujhe koi pukare so pukarti hai ab tak mujhe apne dil ki dhadkan koi tutta sitara mujhe kash phir sada de ki ye koh-o-dasht-o-sahra hain sukut-e-shab se raushan teri manzil-e-wafa mein hua khud se aashna main teri yaad ka karam hai ki yahi hai dost dushman tere ru-ba-ru hun lekin nahin ru-shanas tujh se tujhe dekhne na degi tere dekhne ki uljhan 'zafar' aaj dil ka aalam hai ajab main kis se puchhun wo saba kidhar se aai jo khila gai ye gulshan