jo murgh-e-qibla-numa ban ke aashiyan se chale tadap tadap ke wahin rah gae jahan se chale jigar shigaf ho ya dil ho chaak wahshat se junun mein jama-e-tan dekhiye kahan se chale jo mar ke reg-e-rawan bhi bane zaifi mein yahan pe rah gae hum na-tawan wahan se chale sabaat-e-jama-e-hasti ho khak piri mein jo pairahan ho purana bahut kahan se chale wahan se aae akele the na-muradana hazar hasrat-o-arman liye yahan se chale mera tera ki tarah 'shad' ye bhi ita hai ye qafiya na nahin se chale na han se chale