jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein wo aaftab mein hai na wo mahtab mein is tarah azm-e-zohd hai ahd-e-shabab mein chalne ka jaise qasd kare koi khwab mein meri nazar se chhup ke rahen wo hijab mein mere nadim kya mah-o-anjum hain khwab mein mujh ko sunae jate hain afsane khuld ke duba hua hun masti-e-sher-o-sharab mein aakhir tilism-e-ghuncha-o-gul tut kar raha meri nazar se chhup na sake wo hijab mein insan kha raha hai fareb-e-hayat kyun kashti kabhi rawan bhi hui hai sarab mein begana-e-nazar the hamin is ka kya ilaj shamil hain rahmaten bhi kisi ke itab mein har manzar-e-jamil pe go ruk gai nazar thahre magar tumhin nigah-e-intikhab mein mera har ek nafas hai payam-e-raza-e-dost zahid phansa hua hai azab-o-sawab mein har manzar-e-jamil ko thukra ke ai 'rais' khud samne hon apni nazar ke jawab mein