jo shab hui to nazare utar ke aae hain zamin pe dekho sitare utar ke aae hain kisi ki nind abhi tak hai beach dariya mein kisi ke khwab kinare utar ke aae hain hawa ke lams ne aawaz di hai mazi ko bujhe se dil pe sharare utar ke aae hain ye kis ka zikr hawaon ne aaj chheda hai lahun ke aankh se dhaare utar ke aae hain bhatak rahe the khalaon mein chand-tare jo teri talash mein sare utar ke aae hain falak ko dekh ke 'jyoti' yahi hua mahsus falak pe rang tumhaare utar ke aae hain