jo shua-e-lab hai mauj-e-nau-bahaar-e-naghma hai

jo shua-e-lab hai mauj-e-nau-bahaar-e-naghma hai
khamushi bhi aap ki aaina-dar-e-naghma hai

gosh ek muddat se mahrum-e-samaat hai magar
dil ajab nadan hai ab tak e'tibar-e-naghma hai

farq ye hai nutq ke sanche mein dhal sakta nahin
warna jo aansu hai durr-e-shah-war-e-naghma hai

munkir-e-saz-e-masarrat hun to kafir hun magar
ham-nafas mizrab-e-gham par inhisar-e-naghma hai

ai ki shikwa tha tujhe sangin-mizaji ka meri
dekh is patthar mein bhi mauj-e-sharar-e-naghma hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close