jo sun kar lagi zer-e-lab muskurane ye kya kah diya tha kali se saba ne mere sher anmol lal-o-gohar hain lutae tere gham ne kya kya khazane shafaq khil uthi champai aarizon par nikhaara tere rang-e-rukh ko haya ne raha hai wahi dil ka ehsas-e-ulfat badalte rahe lakh karwat zamane mohabbat ka un ko yaqin aa chala hai haqiqat bane ja rahe hain fasane jhijhak kar kisi ne churain jo nazren charagh-e-tamanna laga jhilmilane kabhi ye bhi socha hai ai hansne walo agar pad gae tum ko aansu bahane wo tufan baad-e-mukhalif kahan hai jo uttha tha ai 'naqsh' mujh ko mitane