jo tamasha nazar aaya use dekha samjha jab samajh aa gai duniya ko tamasha samjha us ki eajaz-numai ka tamashai hun kahin jugnu bhi jo chamka yad-e-baiza samjha main ye samjha hun ki samjhe na meri baat ko aap sar hila kar jo kaha aap ne achchha samjha asar-e-husn kahun ya kashish-e-ishq kahun main tamashai tha wo mujh ko tamasha samjha kya kahun mere samane ko samajh hai darkar khak samjha jo mujhe khak ka putla samjha ek wo hain jinhen duniya ki bahaaren hain nasib ek main hun qafas-e-tang ko duniya samjha mera har sher hai ek raaz-e-haqiqat 'bekhud' main hun urdu ka 'naziri' mujhe tu kya samjha