jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae

jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae
ajab nahin ki hamara bhi kaam ho jae

sharab-e-shauq ki qimat hai naqd-e-jaan-e-aziz
agar ye bais-e-kaif-e-dawam ho jae

rahin-e-yas rahen ahl-e-arzu kab tak
kabhi to aap ka darbar aam ho jae

jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur
to mujh pe khwahish-e-jannat haram ho jae

wo dur hi se hamein dekh len yahi hai bahut
magar qubul hamara salam ho jae

agar wo husn-e-dil-ara kabhi ho jalwa farosh
farogh-e-nur mein gum zarf-e-baam ho jae

suna hai bar-sar-e-bakhshish hai aaj pir mughan
hamein bhi kash ata koi jam ho jae

tere karam pe hai mauquf kaamrani-e-shauq
ye na-tamam ilahi tamam ho jae

sitam ke baad karam hai jafa ke baad ata
hamein hai bas jo yahi iltizam ho jae

ata ho soz wo ya rab junun-e-'hasrat' ko
ki jis se pukhta ye sauda-e-kham ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close