junun barsae patthar aasman ne mazra-e-jaan par

junun barsae patthar aasman ne mazra-e-jaan par
jafa-e-pir sabqat le gai bedad-e-tiflan par

lagaya itr jab hum ne lab-e-rangin-e-jaanan par
to goya tel chhidka aatish-e-lal-e-badakhshan par

nahin ye moajiza mauquf kuchh musi-e-imran par
pyale hain yad-e-baiza kaf-e-pur-nur-e-mastan par

kabhi chalti nahin baad-e-bahaari apne gulshan mein
wo bulbul hun ki warafta hun main gul-ha-e-hirman par

bayaz-e-ku-e-jaanan bulbul-e-shiraaz gar dekhe
sifat us bostan ki likkhe auraq-e-gulistan par

kiya qatl us ne mujh ko main ne ki qatil ki aaraish
jamaya khun ka lakha lab-e-shamshir-e-burran par

pas-e-diwar tadpoge kahan tak shauq kahta hai
kamand-e-ah se chadh jao baam-e-qasr-e-jaanan par

tasawwur bandh gaya wahshat mein kis ke ru-e-raushan ka
ki aalam wadi-e-aiman ka hai apne bayaban par

hamesha sabz rahta hai gulistan jud-o-bakhshish ka
kabhi baad-e-khizan chalte na dekhi bagh-e-ehsan par

hua jame se bahar kis qadar shauq-e-shahadat hai
padi jis dam nazar qatil teri shamshir-e-uryan par

ye kis mehr-e-siphar-e-husn ne rakkhe qadam apne
guman-e-mahr hai har zarra-e-khak-e-shahidan par

tumhaara muskurana jaanta hun jaan khoega
karegi ek din barq-e-tabassum khirman-e-jaan par

nahin bas aaj-kal sultan iqlim-e-shahadat mein
hai apne nam ka sikka zar-e-ganj-e-shahidan par

mita din teziyan ai zoaf tu ne dasht-e-wahshat mein
pada hai surat-e-tar-e-gareban chaak-e-daman par

bana kar til rukh-e-raushan pe wo shokhi se kahte hain
ye kajal hum ne para hai charagh-e-mah-e-taban par

unhen parwa nahin hai kuchh na ho gar bad ka dora
ki dore dalte hain yar ki hum tegh-e-uryan par

dahan ho us ke paida aur zaban us ki huwaida ho
zaban-e-zakhm ko rakh dun zaban-e-tegh-e-burran par

pada aks-e-shafaq to naz se kahne laga qatil
chadha sone ka pani gumbad-e-qabr-e-shahidan par

hamare yar ne kin chhup ke baaten pyar ki hum se
lagaya aaj poshida ye marham zakhm-e-pinhan par

agar raushan karun us ko charagh-e-dagh-e-sauda se
dhuan zanjir ban jae sar-e-sham-e-shabistan par

hua dhoka jo hum ko tegh-e-khun-alud qatil ka
gala ragda kiye hum mauja-e-khun-e-shahidan par

mazamin us ke jab bandhe to bandish saf di hum ne
jila kar di hamesha gauhar-e-mazmun-e-dandan par

pas-e-murdan 'qalaq' ehsan kiya ye na-tawani ne
subuk mera janaza ho gaya dosh-e-azizan par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close