junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana

junun ke josh mein jis ne mohabbat ko hunar jaana
subukdoshi samajhta hai wo is sauda mein sar jaana

kisi ka naz tha andaz tha ab sar-ba-sar jaana
udhar chadhna nigahon mein idhar dil mein utar jaana

tasawwur khal-o-ariz ka tamasha-e-do-alam hai
yahan aankhon mein rahna hai wahan dil mein utar jaana

junun-e-ishq mein kab tan-badan ka hosh rahta hai
badha jab josh-e-sauda hum ne sar ko dard-e-sar jaana

hawas-bazi nahin ye ishq-bazi hai khuda shahid
mohabbat mein hai shart-e-awwalin ji se guzar jaana

mitai apni hasti hum ne ishq-e-jaan-e-jaanan mein
fana mein dekh kar rang-e-baqa ko mo'tabar jaana

sarapa-e-wafa ek zinda-e-jawed o be-gham hai
takalluf-bartaraf gham kya hai jina aur mar jaana

hamari umr ka paimana ab labrez hai 'sahir'
chhalakna farz ho jata hai paimane ka bhar jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close