junun se khelte hain aagahi se khelte hain

junun se khelte hain aagahi se khelte hain
yahan to ahl-e-sukhan aadmi se khelte hain

nigar-e-mai-kada sab se ziyaada qabil-e-rahm
wo tishna-kaam hain jo tishnagi se khelte hain

tamam umr ye afsurdagan-e-mahfil-e-gul
kali ko chhedte hain be-kali se khelte hain

faraaz-e-ishq nasheb-e-jahan se pahle tha
kisi se khel chuke hain kisi se khelte hain

naha rahi hai dhanak zindagi ke sangam par
purane rang nai raushni se khelte hain

jo khel jaante hain un ke aur hain andaz
bade sukun badi sadgi se khelte hain

'khizan' kabhi to kaho ek is tarah ki ghazal
ki jaise rah mein bachche khushi se khelte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close