junun shauq yaqin zabte se aai hai

junun shauq yaqin zabte se aai hai
udan mujh mein mere hausle se aai hai

mujhe bhi to kabhi bainassutur mein rakhta
phir aaj ek sada hashiye se aai hai

bhulana jab kabhi chaha hai main ne mazi ko
nikal ke yaad teri hafize se aai hai

jise khayal ka markaz kabhi banaya tha
sunahri dhup usi daere se aai hai

yaqin kar lo to aaenge sab nazar apne
tumhaare dil mein kaji wahime se aai hai

kiya hai main ne khud apna muhasba aksar
tamiz mujh mein isi tajarbe se aai hai

jo main ne soch ka badla hai zawiya 'nayab'
har ek chiz nazar qaede se aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close