kaam himmat se jawan mard agar leta hai sanp ko mar ke ganjina-e-zar leta hai na-gawara ko jo karta hai gawara insan zahr pi kar maza-e-shir-o-shakar leta hai haale mein mah ka hota hai chakoron ko yaqin kabhi angdai jo wo rashk-e-qamar leta hai wo zubun-bakht shajar hun main ki dahqan mera pichhe bota hai mujhe pahle tabar leta hai manzil-e-faqr-o-fana ja-e-adab hai ghafil baadshah takht se yan apne utar leta hai ganj-e-pinhan hain tasarruf mein bani-adam ke kan se lal ye dariya se guhar leta hai nazar aa jata hai ai gul jise rukhsar tera phulon se daman-e-nazzara wo bhar leta hai aql kar deti hai insan ki jahaalat zail maut se jaan chhupane ko sipar leta hai yaad rakhta hai adam mein koi saghar-kash use hichkiyan shisha-e-mai sham-o-sahar leta hai ghairat-e-nala-o-fariyaad na kho ai 'atish' aashna koi nahin kaun khabar leta hai